Skip to content
Solva Saal - Hai Apna Dil to Awara cover art

Solva Saal - Hai Apna Dil to Awara

Misc Soundtrack
ChordsKeyGTuningHalf-Step Downbeginner112 BPM
4.9(117)

Chords in this song3

Chorus

Hai apanaa dil, to aawaaraa,
Naa jaane kis pe aayegaa.

Verse 1

Haseenon ne bulayaa, gale se bhee lagaya,
Bahut samajhaya, yahi naa samajhaa,
Haseenon ne bulayaa, gale se bhee lagaya,
Bahut samajhaya, yahi naa samajhaa,
Bahut bholaa hain bechaaraa,
Na jaane kis pe aayegaa.
Hai apanaa dil, to aawaaraa,
Naa jaane kis pe aayegaa.

Verse 2

Ajab hai deewana, na ghar na thikana,
Zameen se begana, falak se judaa.
Ajab hai deewana, na ghar na thikana,
Zameen se begana, falak se judaa.
Ye ek toota hua tara,
Na jaane kis pe aayegaa.
Hai apanaa dil, to aawaaraa,
Naa jaane kis pe aayegaa.

Verse 3

Zamana dekhaa sara, hain sab kaa sahara,
Ye dil hi humara, hua na kise ka,
Zamana dekhaa sara, hain sab kaa sahara,
Ye dil hi humara, hua na kise ka,
Safar mein hain ye banjara,
Naa jaane kis pe aayegaa.
Hai apanaa dil, to aawaaraa,
Naa jaane kis pe aayegaa.

Verse 4

Hua jo kabhi raazi, to mila naheen kaazi,
Janhaa pe lagi baazi, waheen pe hara,
Hua jo kabhi raazi, to mila naheen kaazi,
Janhaa pe lagi baazi, waheen pe hara,
Zaamane bhar ka naakara,
Naa jaane kis pe aayegaa.
Hai apanaa dil, to aawaaraa,
Naa jaane kis pe aayegaa.

Comments

Spotted a wrong chord, or know a capo position that sounds closer to the record?

Sign in to join the conversation.

No comments yet. If you play this one, say what works.