Skip to content
Crook - Mere Bina cover art

Crook - Mere Bina

Misc Soundtrack
ChordsKeyDbeginner80 BPM
4.8(59)

Chords in this song8

Intro

   
D G x3

Verse

Mere Bina main rehne laga hun
Teri hawaon me behne laga hun
Jaane main kaise tera hua hun
Mujhe to lagta hai main shayad tere
dil ki dua hu haa

Chorus

Tujhko jo paaya ahaa
To jeena aaya
Ab ye lamha theher jaye tham jaye bas jaye
hum Dono ke darmiyaaaaan
Tujhko jo paaya aha
To jeena aaya
Ab ye lamha theher jaye tham jaye bas jaye hum Dono ke darmiyaaaaanaa

Verse

Pehle se zyada main jee raha hu
Jabse main tere dil se juda hu
Rahon pe teri main to chala hu
Tu meri manzil hai tere kadmon pe bas
rukne laga hu haa

Chorus

Tujhko jo paaya ahaa
To jeena aaya
Ab ye lamha theher jaye tham jaye bas jaye
hum Dono ke darmiyaaaaan
Tujhko jo paaya aha
To jeena aaya
Ab ye lamha theher jaye tham jaye bas jaye hum Dono ke darmiyaaaaanaa

Verse

Teri nazar me nayi si adaa hai
Naya sa nasha bhhi ghula hai 
Kayi dino se bandha tha baadal jo
Tere hi baalon me khula hai
Teri hadon me meri basar hai
Ab tujhe bhi jana kidhar hai
Jahan rahe tu main wo jahan hu
Jise jiye tu main wo sama hu
Teri waja se naya naya hu 
Pehle kaha na maine ab ye tumse
kehne laga hu..haa

Chorus

Tujhko jo paaya aha
To jeena aaya
Ab ye lamha theher jaye tham jaye bas jaye hum Dono ke darmiyaaaaanaa

Comments

Spotted a wrong chord, or know a capo position that sounds closer to the record?

Sign in to join the conversation.

No comments yet. If you play this one, say what works.